Testosterone supplements: Mahir Health aur Jinsi Paidaish ke Liye Zaroori Hormone. Janiye testosterone ki ahmiyat aur Testosterone supplements by Sehat Talk with Isha Bhatia Sanan.
Testosterone Kya hai
Hormones kai tarha ke hote hain, Khushi dene wala hormone, achhi neend wala hormone, growth hormone, thyroid hormone, hormone.., hormones! Toh chaliye, aaj ek aur hormone ki baat karte hain, main hoon Isha Bhatia Sanan, Sehat Talk ke is article me aaj baat karnewale hai Testosterone ki. Ye hormone Purusho aur mahilao dono mein hota hai, bas mahilao mein thoda kam banta hai. Aap mahila hon ya purush, testosterone aapki bone density ke liye ahem hota hai. Ladkon mein puberty ke dauran testosterone ki matra kaafi badh jaati hai. Isi karan daadi mooch aane lagti hai, aawaaz bhari hone lagti hai, aur is dauran testosterone sperm production ko bhi badha deta hai. Yani ye vo hormone hai jo purusho ki sexuality aur unke reproductive system ke sath juda hua hai.
Testosterone Supplements: Performance ke Liye Sahi Hai?
Companiyan is baat ko samajhti hai ki ye hormone aapke reproductive system ke sath juda hua hai, isliye bazaar mein testosterone supplements bhi milte hain. Research dikhata hai ki lambe waqt tak testosterone lene se heart problems ho sakti hain. Saath hi isse prostate cancer ka khatra bhi badh jata hai. Aur in se testicles chhote bhi ho sakte hain. Waise gym mein behtar performance ke liye bhi ladke ye lete hain, lekin bina doctor se poochen ise lene se kaafi nuksan ho sakta hai.
Testosterone: Sperm Production aur Jinsi Taaqat ke Liye Importence
Testosterone ki sabse jyada jarurat purusho ko sperm banane ke liye hoti hai. Low testosterone level se sperm count kam ho sakta hai ya phir erectile dysfunction bhi ho sakta hai.
Purushon mein Garbhnirodhak Goliyon ka Asar
Karib 25 ki umra ke aspaas ke normal male adults mein testosterone ki matra 100% tak hoti hai. Umra badhne ke sath sath ye kam hoti rahati hai. 60 ki umra aate aate sharir sirf 45 se 50 percent hi test banapata hai. Yani vo jo kaha jata hai na ki aadmi to hamesha jawan rehta hai, bahut sahi nahi hai. Haan, aadmiyon ko aurato ki tarah nahi hota hai, lekin testosterone level ghat jayega to sperms bhi ghatenge aur sperms ghatenge to pregnancy ke chances bhi ghat jayenge.
Garbhnirodhak Goliyon ka Prabhav Aur Unke Side Effects
Garbhnirodhak goliyon ka asar aur unke side effects, Garbhnirodhak goliyan, aam taur par janm niyantran goliyan ke roop mein jaani jaati hain, anchahe garbhavastha ko rokne mein badi bhoomika nibhati hain aur parivar niyojan mein sahayak hoti hain. Ye goliyan vibhinn prakriyon ke madhyam se kaam karti hain, jaise ovulation ko dabakar, servix mucus ko mota karke aur garbhashay ki parat ko badal kar garbhadharan ko rokne mein madad karti hain. Jabki garbhnirodhak goliyan am taur par surakshit aur prabhavitvadi mana jata hai, inke kuch side effects bhi ho sakte hain. Kuch aam side effects mein ulti, sirdard, vajan mein parivartan aur mood swings shamil hote hain. Iske alawa, kuch cases mein, ye khoon ki thakke aur cardiovascular samasyao ke khatre ko badha sakti hain.
Garbhnirodhak goliyon ka istemaal karne se pahle chikitsaik sujhav aur apne swasthya ke liye chikitsak se sampark karna zaroori hai. Aur actually ye jo logic hai iske basis par purushon ke liye garbhnirodhak goliyan bhi test kiya gaya hai. Mahilao mein garbhnirodhak goliyan ande ko fertilize hone se rokti hai. Ab agar ye goli mahilao ki jagah purush le to bhi unhe yahi sunishchit karna hoga ki sperm tak na pahuche. Ek tarika to ye hai ki sperm ko banne se hi rok diya jaye ya at least sperm count kam ho jaye, taki pregnancy ke chances bhi kam ho jaye. Lekin iss se sex drive bhi kam ho jayegi.
Garbhnirodhak Goliyon ka Istemal aur Unke Asar
To karna ye hoga ki testicles mein sperm production ko roken, lekin kisi aur tarike se khoon mein testosterone daal diye jaye. Aisa kisi dawa ke through kiya ja sakta hai ya kisi aur tarike se bhi, lekin sabse aasaan hoga sharir par Testosterone wali cream lagakar. Ek aur tarika hai Sperm Meto Genesis. Ismein sperm ko mature hone mein lamba waqt lag jayega. Kuch hafte ki jagah kuch mahine aise mein is par theek se tair nahi paayega aur ek tak pahunchne se pehle khud hi mar jayega. Ab ismein dikat ye hai ki iss baat ki koi guarantee nahi hai ki purush jab goli lena chhodega to sab kuch fir se normal tareeke se hone lagega. Aur is vajah se ye goliyan aaj tak market mein nahi aayengi.
Mahilao ke Garbhnirodhak Goliyon ka Prabhav
Kya aapko pata hai mahilayein jo garbhnirodhak goliyan leti hain unmein bhi hormones hi hote hain jaise estrogen, progesterone. Jab aap hormonal pills lete hain to vo aapke sharir ke saath kai tarah se chhedchhad karte hain. Hum badi aasani se kehte hain na ki shaadi ke baad to ladkiyan moti ho jaati hain, shaadi ke baad jyadatar ladkiyan pills lene lagti hain aur in pills ka sabse common side effect hai weight gain. Iske alawa inse mood swings bhi hote hain, mahilao ki sex drive kam ho jaati hai, sir mein dard rehta hai aur phir ye jo ban jata hai ki jab biwiyon ka mood nahi hota to vo sir dard ka bahana bana deti hai. Lekin ye sab sach mein hota hai. Infact research to ye bhi dikhata hai ki birth control pills lene se mahilao mein depression ka khatra bhi badh jata hai.
Comment section mein ye jarur batayiye ki aapko kya lagta hai ki kya family planning ke liye pills lena sahi hai? Fir chahe mahilayein ho ya fir purush mai milungi aapse agle Article me. Shukriya!
FAQs:
Testosterone supplement lene se kya side effects ho sakte hain?
Lambe samay tak testosterone supplement lene se heart problems, prostate cancer ka khatra, aur testicles ka chhota hona ho sakta hai.
Testosterone hormone sperm production ke liye kyu mahatvapurna hai?
Testosterone purusho mein sperm production ko badhane ke liye mahatvapurna hai aur kam testosterone level se sperm count kam ho sakta hai.
Kya garbhnirodhak goliyan purushon ke liye bhi upyogi hain?
Haan, garbhnirodhak goliyan purushon mein bhi test ki gayi hain, lekin unka istemal sex drive ko kam kar sakta hai.
Testosterone ke kam hone se kya nuksan ho sakta hai?
Testosterone kam hone se sperms ki matra ghat sakti hai aur isse pregnancy ke chances bhi kam ho sakte hain.
Kya mahilao ke garbhnirodhak goliyan lene se unke sharir par kya asar hota hai?
Garbhnirodhak goliyan lene se mahilao mein weight gain, mood swings, sex drive kam hona, aur depression ka khatra badh sakta hai.