How to lose weight fast in a healthy way: Vajan kam karne (Weight Loss) ke chakkar mein kayi log kuch galat niyamon ka palan karne lagte hain taaki unhe jaldi result mil sake. Experts is tareeke ko galat maante hain. Jaldibazi wale tareeke aapko result to jaldi de sakte hain lekin isse aapko lambe samay tak kayi side effects ho sakte hain.
Motapa (Obesity)
Aajkal ki sabse gambhir samasya ban gaya hai. Kharaab khan-pan aur sust jeevanshaili ki wajah se bahut log apne badhte vajan se dukhi hain. Jahir hai motapa kisi ki sundarta to kam karta hi hai, saath hi isse kayi gambhir bimariyon jaise diabetes, cancer, dil ke rog, yahan tak ki coronavirus adi ka bhi khatra hota hai.

Vajan kam (Weight loss) karne ke chakkar mein kayi log kuch galat niyamon ka palan karne lagte hain taaki unhe jaldi result mil sake. Experts is tareeke ko galat maante hain. Jaldibazi wale tareeke aapko result to jaldi de sakte hain lekin isse aapko lambe samay tak kayi side effects ho sakte hain.
Ek hafte mein belly fat kaise kam ho sakta hai? (How to lose belly fat in just 1 week) Weight Loss Coach Doctor Snehal ka kehna hai ki yeh ek aisa sawaal hai, jo bahut se log mujhse poochte hain. Iska jawab jaanne ke liye sabse pehle yeh jaanna zaroori hai ki aapke shareer mein fat kitne dino mein jama hua hai, 1 saal, 5 saal ya 10 saal? Shareer mein jama extra fat ko kam karne ke mamle mein bhi yehi niyam lagoo hota hai. Iska matlab yeh hai ki jitna samay fat badhne mein laga, utna hi samay kam hone mein lag sakta hai.
Kya ek hafte mein belly fat kam (Weight Loss) ho sakta hai?
Iska seedha sa jawab hai ki ek hafte ya ek mahine mein pet ki charbi kam karna sambhav nahi hai. Koi bhi diet, exercise, dawaye ya machine is fact ko nahi badal sakte hain. Weight loss transformation journey mein is baat ka dhyan rakhna bahut zaroori hai ki aapko sabr se kaam lena chahiye. Is mamle mein kisi bhi tarah ki jaldibazi sehat ke liye haanikarak ho saktee hai.

Jaldibazi bigaad sakti hai sehat. Doctor ne bataya ki kayi baar log jaldi se vajan ghatane ki koshish karte hain aur is dauran kayi aisi galtiyaan kar baithte hain, jo sehat ko lambe samay tak nuksan pahunchati hain. Galat tareeke se vajan kam karna ya jyada vajan kam karna sehat ko gambhir nuksan pahuncha sakta hai.
Jaldibazi bigaad sakti hai sehat.
Doctor ne bataya ki kayi baar log jaldi se vajan ghatane ki koshish karte hain aur is dauran kayi aisi galtiyaan kar baithte hain, jo sehat ko lambe samay tak nuksan pahunchati hain. Galat tareeke se vajan kam karna ya jyada vajan kam karna sehat ko gambhir nuksan pahuncha sakta hai.

Healthy tareeke se vajan karna sabse badiya upay hai. Doctor’s ne bataya ki healthy tareeke se vajan kam karne ke liye aapko dhairya rakhna chahiye. Agar aapko bina kisi nuksan ke vajan kam karna hai, to aapko jaldibazi se nahi balki dhairya se kaam lena chahiye.
Galat tareeke phir se bada sakten hai vajan. Doctor ka manna hai ki agar aap jaldibazi mein vajan kam karne ke chakkar mein kuch galat tareeke aajmate hain, to isse aapko jaldi result to mil sakta hai lekin kuch dino ke baad phir se aapke shareer par fat jama ho sakta hai. Kya aap is khel ko jeevan bhar khelne ke liye taiyaar hain?
Vajan ghatane ka sahi tareeka, na karein ye galtiyan.
Healthy diet lein. Doctor ke anusar, vajan kam karne ke mamle khana-peena bilkul na chhodein, jo ki kayi log yeh galti kar baithte hain. Aap healthy diet lein aur khana bilkul bhi na chhodein. Healthy diet lena aur saath mein exercise karna vajan kam karne ka behtar tareeka hai. Lekin agar aap galat tareeke chuntein hain jo aapko result to jaldi mil sakta hai lekin baad mein gambhir nuksan ho sakte hain.
Also Read Articles and Referances